।। Doha ।।
Shish Nava Arihant Ko,
Siddhan Karu Pranam.
Upadhyay Aacharya Ka Le,
Sukhkari Naam.
Sarva Saadhu Aur Saraswati,
Jin Mandir Sukhkar.
Ahichchtra Aur Parshwa Ko,
Man Mandir Mein Dhar.
।। Chaupai ।।
Parshwanath Jagat Hitkari,
Ho Swami Tum Vrat Ke Dhari.
Sur Nar Asur Kare Tum Seva,
Tum Hi Sab Devan Ke Deva.
Tumse Karam Shatru Bhi Hara,
Tum Kina Jag Ka Nistara.
Ashwasen Ke Raj Dulare,
Vama Ki Aankhon Ke Tare.
Kashi Ji Ke Swami Kahaye,
Sari Parja Mouj Udaye.
Ek Din Sab Mitro Ko Leke,
Sair Karan Ko Van Me Pahunche.
Hathi Par Kaskar Ambari,
Ik Jangal Me Gayi Savari.
Ek Tapaswi Dekh Vahan Par,
Usse Bole Vachan Sunakar.
Tapsi Tum Kyon Paap Kamate,
Is Lakkad Me Jiv Jalate.
Tapsi Tabhi Kudal Uthaya,
Us Lakkad Ko Cheer Giraya.
Nikle Naag Naagin Kaare,
Marne Ke The Nikat Bichare.
Raham Prabhu Ke Dil Me Aaya,
Tabhi Mantra Navkar Sunaya.
Bhar Kar Vo Patal Sidhaye,
Padmavati Dharnendra Kahaye.
Tapsi Mar Kar Dev Kahaya,
Naam Kamath Grantho Me Gaya.
Ek Samay Shri Paras Swami,
Raj Chhor Kar Van Ki Thani.
Tap Karte The Dhyan Lagaye,
Ek Din Kamath Vahan Par Aaye.
Phouran Hi Prabhu Ko Pahichana,
Badla Lena Dil Me Thana.
Bahut Adhik Baarish barsayi,
Baadal garje Bijli Girayi.
Bahut Adhik Patthar Barsaye,
Swami Tan Ko Nahi Hilaye.
Padmavati Dharnendra Bhi Aaye,
Prabhu Ki Seva Me Chit Laaye.
Dharnendra Ne Phan Phailaya,
Prabhu Ke Sir Par Chatra Banaya.
Padmavati Ne Phan Phailaya,
Us Par Swami Ko Baithaya.
Karmnash Prabhu Gyan Upaya,
Samosharan Devendra Rachaya.
Yahi Jagah Ahichchtra Kahaye,
Paatra Keshari Jahan Par Aaye.
Shishya Paanch Sou Sang Vidwana,
Jinko Jaane Sakal Jahana.
Parshwanath Ka Darshan Paya,
Sabne Jain Dharam Apnaya.
Ahichchtra Shri Sundar Nagari,
Jahan Sukhi Thi Parja Sagri.
Raja Shri Vasupal Kahaye,
Vo Ek Jin Mandir Banvaye.
Pratima Par Palish Karvaya,
Phouran Ek Mistri Bulvaya.
Vah Mistri Maans Tha Khata,
Isse Paalish Tha Gir Jata.
Muni Ne Use Upaay Bataya,
Paaras Darshan Vrat Dilvaya.
Mistri Ne Vrat Paalan Kina,
Phouran Hi Rang Chadha Navina.
Gadar Satavan Ka Kissa Hai,
Ek Mali Ka Yon Likha Hai.
Vah Mali Pratima Ko Lekar,
Jhat Chhup Gaya Kuyen Ke Andar.
Us Paani Ka Atishay Bhari,
Dur Hoy Sari Bimari.
Jo Ahichchtra Hriday Se Dhyawe,
So Nar Uttam Padvi vave.
Putra Sampada Ki badhti Ho,
Papon Ki Ek Dam Ghatati Ho.
Hai tahsil Aanvla Bhari,
Steshan Par Mile Savari.
Ramnagar Ek Gram Barabar,
Jisko Jane Sab Nari Nar.
Chalise Ko Chandra Banaye,
Hath Jodkar Shish Navaye.
।। Sortha ।।
Nit Chalisahin Baar,
Path Kare Chalis Din.
Khey Sugandh Apar,
Ahichchtra Me Aay Ke.
Hoy Kuber Saman,
Janm Daridri Hoy Jo.
Jiske Nahin Santan,
Naam vansh Jag Mein Chale.