Jwala Mata Chalisa

||Doha||
Shakti peeth ma jwalpa dharu tumhara dhyan|
Hruday se simaran karu do bhakti vardan||
Sukh vaibhav sab dijiye banu tihara das|
daya drushti karo bhagavati aapme hai vishwas||

||Chaupai||
Namskar he jwala mata|
Deen dukhi ki bhagya vidhata||
Jyoti aapki jagmag jage|
Darshan kar Andhiyara bhage||
Nav durga hai rup tihara|
Chaudah bhavan me do ujiyara||
Brahma Vishnu Shankar dvare|
Jai maa jai maa sabhi uchhare||
Unche parvat dham tihara|
Mandir jag me sabase nyara||
Kali Lakshmi Sarswati Maa|
Ek rup ho Parvati Maa||
Riddhi-Siddhi Chanvar Dulave|
Aa Ganeshji Mangal Gave||
Gauri Kund Me AAn Nahau|
Man ka sara mail hatau||
Gorakh dibbi darshan pau|
Baba balak nath manau||
AApki leela amar kahani|
Varnan kaise kare ye prani||
Raja Daksh ne yadnya rachaya|
Kankhal Haridwar Sajaya||
Shankar ka apaman karaya|
Parvati ne krodh dikhaya||
Mere pati ko kyon na bulaya|
Sara yadnya vidhvans karaya||
Kud gai maa kund me jakar|
Shiv bhole se dhyan lagakar||
Gaura ka shav kandhe rakhkar|
Chale Nath ji bahut krodh kar||
Vishnuji sab janke maya|
Chakra chalakar bojh hataya||
Ang gire ja parvat upar|
Ban gaye maa ke mandir us par||
Bavan hai shubh darshan maa ke|
Jinhe pujate hai ham ja ke||
Jivha giri kangade upar|
Amar tej ek pragata aakar||
Jivha pindi rup me badali|
Ansuiya gaiya vaha nikali||
Dudh piya maa rup me aake|
Ghabaraya gwala vaha jake||
Maa ki leela sab pahchana|
Paya usane vahi thikana||
Sara bhed Raja ko bataya|
Jwalaji Mandir Banvaya||
Chandi Maa ka path karaya|
Halwe chane ka bhog lagaya||
Kalyug vasi pujan kinha|
Mukti ka fal sabako dinha||
Chausath yogini nache dvare|
Bavan bhairo hai matvare||
Jyoti ko prasad chave|
Pede dudh ka bhog lagave||
Dhol dhapp baje shahnai|
Damaru chhaine gaye badhai||
Tughlak Akbar ne aajamaya|
Jyoti koi bujha nahi paya||
Nahar khodakar akbar laya|
Jyoti par pani bhi giraya||
Lohe ki chadar thi thukvayi|
Jyot failkar jagmag aayi||
Andhkar sab man ka hataya|
Chhatra chadhane dar pe aaya||
Sharnagat ko maa apanaya|
Usaka jeevan dhanya banaya||
Tan man dhan mai karu nyauchhavar|
Mangu maa zoli failakar||
Muzko maa vipada ne ghera|
Kam krodh ne lagaya dera||
Roj bhavan ke darshan pau|
Bar-bar mai sheesh Navaau||
Jai jai jai Jagdamb Jwalapa|
Dhyan rakhegi tu hi balaka||
Dhyanu bhagat tumhara yash gaaya|
Usaka jeevan dhanya banaya||
Kalikal me tum vardani|
Kshama karo meri naadaani||
Sharan pade ko gale lagaao|
Jyoti rup me sanmukh aao||

||Doha||
Rahun pujata jwalpa jab tak hai ye swans|
‘Aum’ ko dar pyara lage tumhaara hi vishwas||