Namo Namo Durge Sukh Karani ।
Namo Namo Ambe Dukh Harani ॥
Nirakar Hai Jyoti Tumhari ।
Tihoun Lok Phaili Uujiyaari ॥
Shashi Lalaat Mukh Maha Vishala ।
Netra Lal Bhrikoutee Vikaraala ॥
Roop Maatu Ko Adhik Suhaave ।
Darshan Karata Jana Ati Sukh Paave ॥4
Tum Sansar Shakti Laya Keena ।
Palana Hetu Anna Dhan Deena ॥
Annapoorna Hui Tu Jag Pala ।
Tumhi Aadi Sundari Bala ॥
Pralayakala Sab Nashana Haari ।
Tum Gouri Shiv Shankar Pyari ॥
Shiv Yogi Tumhre Gun Gaavein ।
Brahma Vishnu Tumhein Nit Dhyavein ॥8
Roop Saraswati Ka Tum Dhara ।
Day Subuddhi Rishi Munina Ubara ॥
Dharyo Roop Narsimha Ko Amba ।
Pragat Bhayi Phaad Ke Khamba ॥
Raksha Kari Prahlad Bachaayo ।
Hiranyaykush Ko Swarga Pathayo ॥
Lakshmi Roop Dharo Jag Maahin ।
Shree Narayan Anga Samahin ॥12
Ksheer Sindhu Mein Karat Vilaasa ।
Daya Sindhu Deejey Man Aasa ॥
Hingalaja Mein Tumhi Bhavani ।
Mahima Amit Na Jaat Bakhani ॥
Matangi Aru Dhoomawati Mata ।
Bhuvaneshwari Bagala Sukhdata ॥
Shree Bhairav Tara Jag Tarani ।
Chhinna Bhala Bhava Dukh Nivarini ॥16
Kehari Vahan Soha Bhavani ।
Laangur Veer Chalata Agavani ॥
Kar Mein Khappar Khadaga Virajay ।
Jako Dekh Kaal Dar Bhajey ॥
Sohe Astra Aur Trishula ।
Jase Uthata Shatru Hiya Shoola ॥
Nagarkot Mein Toumhi Virajat ।
Tihoun Lok Mein Danka Baajat ॥20
Shumbh-Nishumbh Daanuv Tum Maare ।
Rakta Beej Shankhana Sanghaare ॥
Mahishasur Nrip Ati Abhimaani ।
Jehi Agh Bhar Mahi Akulaani ॥
Roop Karaal Kali ka Dhara ।
Sen Sahita Tum Tihin Samhara ॥
Pari Gaarh Santana Par Jab Jab ।
Bhayi Sahay Matou Tum Tab Tab ॥24
Amarpuri Arubaa Sab Lokaa ।
Tab Mahima Sab Kahey Ashoka ॥
Jwala Mein Hai Jyoti Tumhari ।
Tumhein Sada Poojey Nar Nari ॥
Prem Bhakti Se Jo Yash Gave ।
Dukh Daridra Nikat Nahin Aave ॥
Dhyaave Tumhein Jo Nar Man Layi ।
Janma Maran Tako Chhouti Jaayi ॥28
Yogi Sur Muni Kahat Pukaari ।
Yog Na Hoye Bina Shakti Tumhari ॥
Shankara Acharaj Tap Ati Keenho ।
Kaam Krodh Jeet Sab Leenho ॥
Nishidin Dhyan Dharo Shankar Ko ।
Kaahu Kaal Nahin Soumiro Tumko ॥
Shakti Roop Ko Maram Na Payo ।
Shakti Gayi Tab Man Pachitayo ॥32
Sharnagat Huyi Kirti Bakhaani ।
Jai Jai Jai Jagadambe Bhavani ॥
Bhayi Prasanna Aadi Jagadamba ।
Dayi Shakti Nahin Keen Vilamba ॥
Maukon Maatu Kashta Ati Ghero ।
Tum Bin Kaun Harey Dukh Mero ॥
Asha Trishna Nipat Satavein ।
Ripu Moorakh Mohe Ati Darpaave ॥36
Shatru Nash Kijey Maharani ।
Soumiron Ikchit Tumhein Bhavani ॥
Karo Kripa Hey Maatu Dayala ।
Riddhi Siddhi Dey Karahou Nihaala ॥
Jab Lagi Jiyoun Daya Phal Paoun ।
Tumhro Yash Mein Sada Sounaoun ॥
Durga Chalisa Jo Nar Gaavey ।
Sab Sukh Bhog Parampad Pavey ॥40
Devidas Sharan Nij Jaani ।
Karahoun Kripa Jagadambe Bhavani ॥
॥Doha॥
Sharanaagat Rakshaa Kare,
Bhakt Rahe Nishank ।
Main Aayaa Teri Sharan Me,
Maatu Lijiye Ank ॥
॥ Et Shree Durga Chalisa ॥