Vishwakarma Aarti

Jai Shri Vishvakarma Prabhu,
Jai Shri Vishvakarma।
Sakal Srashti Ke Karata,
Rakshak Stuti Dharma॥
॥ Jai Shri Vishvakarma...॥
Aadi Srashti Me Vidhi Ko,
Shruti Upadesh Diya।
Jeev Maatra Ka Jag Me,
Gyan Vikas Kiya॥
॥ Jai Shri Vishvakarma...॥

Dhyan Kiya Jab Prabhu Ka,
Sakal Siddhi Aai।
Rishi Angeera Tap Se,
Shanti Nahin Pai॥
॥ Jai Shri Vishvakarma...॥

Rog Grast Raja Ne,
Jab Aashray Leena।
Sankat Mochan Banakar,
Door Duhkha Keena॥
॥ Jai Shri Vishvakarma...॥

Jab Rathakar Dampati,
Tumhari Ter Kari।
Sunakar Deen Prarthana,
Vipat Hari Sagari॥
॥ Jai Shri Vishvakarma...॥

Ekanan Chaturanan,
Panchanan Raje।
Tribhuj Chaturbhuj Dashabhuj,
Sakal Roop Saaje॥
॥ Jai Shri Vishvakarma...॥

Dhyan Dhare Tab Pad Ka,
Sakal Siddhi Aave।
Man Dwuvidha Mit Jave,
Atal Shakti Pave॥
॥ Jai Shri Vishvakarma...॥

Shri Vishvakarma Ki Aarti,
Jo Koi Gaave।
Bhajat Gajanand Swami,
Sukh Sampati Pave॥

Jai Shri Vishvakarma Prabhu,
Jai Shri Vishvakarma।
Sakal Srashti Ke Karata,
Rakshak Stuti Dharma॥

About Vishwakarma Aarti

Vishwakarma Aarti is a beautiful devotional song dedicated to Lord Vishwakarma, the Hindu god of architecture and engineering. The lyrics of the song praise Lord Vishwakarma's creative abilities and describe him as the supreme creator who has designed and built all the wonderful things in the world. The song is a perfect way to show our reverence and gratitude to Lord Vishwakarma for his countless blessings.