Dharmraj Kar Siddh Kaaj,
Prabhu Main Sharnaagat Hoon Teri ।
Padi Naav Majhdar Bhanwar Mein,
Paar Karo, Na Karo Deri ॥
॥ Dharmraj Kar Siddh Kaaj.. ॥
Dharmalok Ke Tum Swami,
Shri Yamraj Kahlate Ho ।
Jon Jon Prani Karm Karat Hain,
Tum Sab Likhte Jate Ho ॥
Ant Samay Mein Sab Hi Ko,
Tum Doot Bhej Bulate Ho ।
Paap Puny Ka Sara Lekha,
Unko Banch Sunte Ho ॥
Bhugtate Ho Pranin Ko Tum,
Lakh Chaurasi Ki Pheri ॥
॥ Dharmraj Kar Siddh Kaaj.. ॥
Chitragupt Hain Lekhak Tumhare,
Phurti Se Likhne Wale ।
Alag Agal Se Sab Jeevon Ka,
Lekha Jokha Lene Vaale ॥
Paapi Jan Ko Pakad Bulate,
Narko Mein Dhane Wale ।
Bure Kaam Karne Walo Ko,
Khoob Saja Dene Wale ॥
Koi Nahi Bach Pata Na,
Yaay Niti Aisi Teri ॥
॥ Dharmraj Kar Siddh Kaaj.. ॥
Doot Bhayankar Tere Swami,
Bade Bade Dar Jate Hain ।
Papi Jan to Jinhen Dekhte Hi,
Bhay Se Tharrate Hain ॥
Bandh Gale Mein Rassi Ve,
Paapi Jan Ko Le Jate Hain ।
Chabuk Maar Late,
Jara Raham Nahin Man Mein Late Hain ॥
Narak Kund Bhugtate Unko,
Nahin Milti Jisamen Seri ॥
॥ Dharmraj Kar Siddh Kaaj.. ॥
Dharmi Jan Ko Dharmraj,
Tum Khud Hi Lene Aate Ho ।
Sadar Le Jakar Unko Tum,
Swarg Dham Pahuchate Ho ।
Jon Jan Paap Kapat Se Darkar,
Teri Bhakti Karte Hain ।
Nark Yaatna Kabhi Na Karte,
Bhavsagar Tarte Hain ॥
Kapil Mohan Par Krpa Kariye,
Japta Hoon Teri Mala ॥
॥ Dharmraj Kar Siddh Kaaj.. ॥
Dharamaraj Aarti is a very sacred and important ritual in Hinduism. It is performed in order to worship and honor Lord Dharamraj, the god of death. This aarti is usually performed during special occasions and festivals, such as Diwali. The ritual involves lighting a lamp or candles and singing hymns and prayers. Lord Dharamraj is then offered flowers, fruits, and incense. The aarti is a very powerful and moving ceremony that is sure to leave you feeling blessed and enlightened.